|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
MEDIA ke marm ko bachane kee chunautee
This Article was published http://jansamachar.net आजकल एलेक्ट्रॉनिक मीडीया में डी पी एस छात्रा आरूषि मर्डर केस की टी आर पी आई पी एल खेलों से ऊपर जेया रही है. आरूषि की हत्या एक पहेली है लेकिन पिछले सप्ताह में जिस प्रकार मीडीया और खासतौर पर टी वी चॅनेल्स ने इस हत्याकांड को हवा दी है उसको देखकर तो लगता है क़ी आरूषि का क़त्ल हर उस पल किया जेया रहा है जिस जिस पॅल उसकी हत्या की तहक़ीक़ात हमारे खबरिया चॅनेल कार रहे हैं.लगता है क़ी पोलीस, जुद्गे, और गवाह सबकी भूमिका अकेले मीडीया ही अदा कार रहा है. टी वी चॅनेल्स ने जिस प्रकार से पिछले दिनों एक अबोध बालिका की निज़ी ज़िंदगी को बाज़ार का माल बनाकर बेचा उसने मीडीया के लोकतंत्रा के चौथे स्तंभ की भूमिका पर प्रश्नचिन्ह लगा दिया है. लगातार तरक़ दिया जा रहा है क़ी खबरिया चॅनेल्स वो दिखाते हैं जो जनता देखना चाहती है. लेकिन क्या इस देश की सवा अरब आबादी में से किसी एक व्यक्ति ने भी िंखबरिया चॅनेल्स को कहा क़ी हमें इस हत्या कांड की तहक़ीक़ात करके और प्रेम कहानी बताओ. फिर वो कौन सा पैमाना है जो इन खबरचियों को जज और पोलीस दोनों की भूमिका अदा करने की छूट देता है ? एक सोशियल नेत्वोर्किन्ग साइट पर मैने ब्लॉग लिखकर मीडीया की इस करतूत की निंदा की , परिणामस्वरूप 95 % लोगों ने मीडीया के खिलाफ अपनी प्रतिक्रिया लिख और कहा क़ी यह सब च्रितरररित्र हॅना करके टी आर पी बा का फौर्मूला हैं . यह थे janta kee awaz ki woh kya dekhna chahtee hai. kewal ek sajjan ne kaha ki yeh karne ke liye main camera lekar is ksetra men utroon.maine unhen bataya ki main pichhale bees varshon se media se kisee na kisee roop men juda raha hoon aur crime reporting bhee kee hai. Yad hai kuchh samay poorv "Hans" ne T V patrkarita par ek visheshank nikala thaa aur Ajeet anjum uske atithi sampadk the.Jahan Anjum jee apne lekh men electronik media ke in karnamon ke samarthak bane huye the to usee ank men kam se kam aadha dozzen lekh aur kahaniyan hee anjum jee ke tarkon kee khilafat kar rahe the, tajjub yeh thaa ki inke lekhak bheee electronik media se jude bade nam the. Kaha ja sakta hai ki TV Channels ne loktantra ke prahree kee bhoomika nibhayi hai aur kuchh mamlon men yeh sach bhee sabit huya lekin is bhoomioka ke peechhe bhee media kee prahree kee bhoomika kam aur vyavsayik swarth jyada thaa. Abhee tak aam aadmee rajneton kon lashon kee rajneeti karne ke liye dosh diya karta thaa lekin aarushi murder case men media ne jo khel khela hai use aap kya kahenge? Ek abodh balika kee nijee zindgee ko gulchharre udakar jis prakar se relay kiya gaya uskee izazat kum se kum koi sabhya samaj to naheen de sakta.Hamare yahan parampra rahee hai ki mritak ke bad uskeee buraiyon kee charcha naheen kiya karte hain.Lekin koi channel to Aarushi kee diary ke ansh padhkar suna raha tha to koi prem kahanee bata raha thaa. Ek channel kee tipaddni thee ki sara desh is kand kee sachchayi jana chahta hai. Pata nahin ki us channel ka desh kaun sa hai ? Sirf Aarushi ki hatya par media ko itnee chintaa kyon hai ?Kya aapne U.P. men BUDAUN, ETAH, MAINPUREE ka nam suna hai ? In Zilon men shayad hee koi din aisaa jata ho jab do char hatyen na hotee hon ! Lekin yeh hatyen Media kee surkhiyan naheen bantee hain choonki marne wale aarushi jaise sadhan sampann gharanon ke naheen hote hain. Doosare In T V Channels ka Desh DELHI aur N C R se aage samapt ho jata hai. { Read more in detail please copy paste below mentioned link. http://www.jansamachar.net/display.php3?id=&num=12118&lang=Hindi }
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|